BISP Taleemi Wazaif Registration 2025 – Apply & Check Payment by 8171 Web Portal

BISP Taleemi Wazaif Registration 2025 ek khas program hai jo Benazir Income Support Programme (BISP) ke Kafalat beneficiaries ke bachon ke liye launch kiya gaya hai. Iska maqsad yeh hai ke low-income families ke bachay school jaa sakein. Girls students ko boys se zyada wazifa diya jata hai taake unki taleem ko promote kiya ja sake.

Eligibility Criteria for Taleemi Wazaif

  • Maa ka BISP Kafalat mein registered hona
  • Bachay ka school mein admission aur registration hona
  • Minimum 70% school attendance
  • Bachay ki age 4 se 22 saal ke darmiyan honi chahiye
New process of Bisp taleemi wazaif registration 2025


Required Documents

  • Maa ka CNIC (jo BISP Kafalat mein registered ho)
  • Bacha ka Bay-Form (NADRA issued)
  • School ka admission certificate ya verification form

Registration Process for BISP Taleemi Wazaif 2025

StepDescriptionDocuments Required
1Visit nearest BISP Waseela-e-Taleem CenterCNIC, Bay-form
2CNIC aur Bay-form submit kareinCNIC (Mother), Bay-form (Child)
3School se attendance verification form hasil kareinSchool Verification Form
4Attendance form Waseela-e-Taleem center mein jama karwayeinVerified Form
5Biometric verification complete kareinThumb verification (Mother)
6Registration complete hone ke baad confirmation slip milti haiConfirmation Slip

Stipend Amount for BISP Taleemi Wazaif 2025

Student TypeMonthly StipendAnnual Bonus
Primary (Boys)Rs. 1,500Rs. 3,000
Primary (Girls)Rs. 2,000Rs. 3,000
Secondary (Boys)Rs. 2,500Rs. 3,000
Secondary (Girls)Rs. 3,000Rs. 3,000
Higher Secondary (Boys)Rs. 3,500Rs. 3,000
Higher Secondary (Girls)Rs. 4,000Rs. 3,000

How to Check BISP Taleemi Wazaif Payment Online (2025)?

  1. Visit karein official website: 8171.bisp.gov.pk
  2. Apna 13 hisson wala CNIC number enter karein
  3. Taleemi Wazaif” section mein jayein
  4. Aapko latest payment status aur amount show ho jayega

Ya aap 8171.bisp.gov.pk par bhi apni BISP Taleemi Wazaif information verify kar sakte hain.

Frequently Asked Questions (FAQs)


1. What is BISP Taleemi Wazaif 2025 and who can apply?

BISP Taleemi Wazaif 2025 aik taleemi wazifa program hai jo sirf un bachon ke liye hai jinki maa BISP Kafalat mein shamil hain.

2. How to register for Taleemi Wazaif through 8171 web portal?

8171 web portal par direct registration nahi hoti. Aap ko qareebi BISP Waseela-e-Taleem center par jaakar CNIC, bay-form aur school verification form jama karwana hota hai.

3. How to check BISP Taleemi Wazaif payment status online?

Apni BISP Taleemi Wazaif ki payment online check karne ke liye 8171webportal.com ya 8171.bisp.gov.pk visit karein aur CNIC number enter karke Taleemi Wazaif section mein jayein.

4. What is the monthly stipend for BISP Taleemi Wazaif in 2025?

2025 mein larkon ko Rs. 2500se Rs. 4000 aur larkiyon ko Rs. 3000 se Rs. 5000 tak ka wazifa milta hai, unke taleemi level ke mutabiq.

5. Can I use 8171 SMS service to check my BISP Taleemi Wazaif?

Nahi, 8171 SMS service sirf BISP Kafalat eligibility check ke liye hai. Taleemi Wazaif ki payment dekhne ke liye 8171 web portal ka use karein ya qareebi BISP center visit karein.

6. Is 70% school attendance mandatory to receive the stipend?

Jee haan, taleemi wazifa hasil karne ke liye bacho ki school attendance 70% se zyada honi chahiye.

7. What documents are required for registration?

Registration ke liye maa ka CNIC (jo BISP Kafalat mein ho), bache ka bay-form aur school ka admission/verification certificate darkar hota hai.

Leave a Comment